Sooraj hai kahaan, sar mein aag re
Nagin titliyan, akshar bhaar re
Meri aankh mein loha hai kya
Meri rotiyon mein kaanch hai
Gin meri ungliyan kya poori paanch hain
Yeh meri bandook dekho
Yeh mera sandook hai
Ghaas jungle, jism paani
Koyla meri bhookh hai
Chowk mera, gali meri, naukri vardi meri
Dhool utarti, sona raddi
Dhoop aur sardi meri
Meri parking hai, yeh meri seat hai
Mera matha hai, yeh meri eent hai
Teri mitti se meri mitti tak
Aa rahi hai dhoop saari rainon se
Rang se tere rivaazon se
Teri boli se, tere melon se
Keelein chubhti hain
Chheelein hain dikhti hain
Lakadiyan geeli nahi hain
Tel hain peeli yahin hain
Mera chanda tareeka, mera sach sahi
Gar koi awaz uthi gaad dunga main yahin
Main yahan pehle khada tha
Hai yeh mera maidan
Aazma le laathiyon pe, kya sab ***
Yeh kitaabein paap hain
Yeh log saare saanp hain
Jahaalat ke hamaamon mein
Morality ki bhaap hai
Main bataaunga tujhe tu
Jeans pehne hai kitni tang
Kaun si building mein tu reh
Sakti hai kab kiske sang
Raat ke kitne baje kaise
Chale kis se mile
Kab palat kar maar de
Kab chup rahe, kab khap chale
Hai yeh valentine kyun
Tu bhi dee wine kyun
Tere pub se, uske Rab se
Mujhko problem hai sabse
Hamne unko khoob dhoya
Jo ruyi se log the
Ban gaye unke gubbaare
Jo suli se log the
Jiski chaadar hamse chhoti
Uski chaadar chheen li
Jis bhi chhat pe chadh gaye hum
Uski seedhi tod di
Ishtiharon mein khushi hai
Aur ghar atta nahi
De mera chaaku mujhe maa
Kab se kuchh kaata nahi
Bachche khelte jahaan pichhle June mein
Ab baste renkte hain
Wahaan bheege khoon mein
Par raahi thi ek bachchi
Sadak par bheed thi
Sabka na tu dar tha zaroori
Sabne marti chhod di